Tip # 1: Go Out For A Walk. G Dosto jab aap aisay kisi mood main hon to sab pehlay aap ko sab kaam chor kr kahin walk k lye nikal jana chahye. Sirf 10 say 15 mins ki walk aap ko fresh kr day ge aur aap us state of mind say nikal aaen gay.
Tip # 2: Figure Out Why You Feeling Pity?? Ye jaanna bhi buhat zaruri hai k aap is mood mein aur aise condition mein aaye kion hain?? Jab aap 1 dafa un reasons ko jaan lain gay to aap ko aisay problems ko identify krna buhat easy ho jaye ga.
Tip # 3: Ask Questions About How You Are Feeling??? Khud say question karen k aisa state of mind mujhe help kr raha hai??? Kia ye meri health k lye acha hai?? Kia ye Meri family k lye acha hai?? Kia mujhe isi mood k sath continue krna chahye???
Tip # 4: Get it out of your life. Aise tamam reasons ko apni life say nikaal kr bahar phenk dain jinki waja say aap aisay state of mind main aaye hain.
Tip # 5: Try to minimize Importance of Situation. Ye bilkul theek hai k koi buhat bari reason hoge jiski waja say koi aisay state of mind mein chala jata hai but iska solution ye hai k us reason ki importance kam kr dain.
Tip # 6: Be Nice to Other People. Doosray logo k sath achi tarha behave karen. You will feel actually better. Kisi ki madad kr dain, Kisi ko road cross krva dain.
Tip # 7: Eat a good Tasty Meal. Jab bhi aap kisi aisay state of mind mein hon to 1 acha sa khana khaen. You will feel actually better.
Tip # 8: Motivate yourself. Insaan jitna acha motivator khud ka ho sakta hai aur kisi ka nahi ho sakta. So Motivate yourself.
Tip # 9: Aaj ki Last tip hai Read & watch inspiring Quotes & Videos.
#StopFeelingSorryOnYourself
#StopFeelingPity
#StopFeelingPityOnYourself
0 Comments